tum apni yaad se kah do na jae chhoD ke dil
tum apnī yaad se kah do na jaa.e chhoḌ ke dil
ki dard-e-hijr na rakh de kahīñ maroḌ ke dil
ab aap ke mire ghar tak qadam nahīñ aate
ye vo sazā hai diyā thā jo haath joḌ ke dil
ḳhudā rakhe abhī kamsin ho qadr kyā jaano
zarā sī der meñ rakh doge toḌ-phoḌ ke dil
liyā thā jaise usī tarah pher bhī dete
ye kyā ki pheñk diyā tum ne muñh sikoḌ ke dil
hamāre saath na dekhī bahār tāroñ kī
'qamar' chale ga.e vo chāñdnī meñ toḌ ke dil
tum apni yaad se kah do na jae chhoD ke dil
ki dard-e-hijr na rakh de kahin maroD ke dil
ab aap ke mere ghar tak qadam nahin aate
ye wo saza hai diya tha jo hath joD ke dil
KHuda rakhe abhi kamsin ho qadr kya jaano
zara si der mein rakh doge toD-phoD ke dil
liya tha jaise usi tarah pher bhi dete
ye kya ki phenk diya tum ne munh sikoD ke dil
hamare sath na dekhi bahaar taron ki
'qamar' chale gae wo chandni mein toD ke dil
- Book : Rashq-e-Qamar (Pg. 92)
- Author : Qamar Jalalvi
- Publication : Shaikh Shokat ali and Sons
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.