tum apni yaadon ki kahkashan se saja hua aasman ban kar
tum apni yaadon ki kahkashan se saja hua aasman ban kar
Qazi Syed Muhi Ahfaz Shaji
MORE BYQazi Syed Muhi Ahfaz Shaji
tum apnī yādoñ kī kahkashāñ se sajā huā āsmān ban kar
mire tasavvur pe chhā bhī jaao mohabbatoñ kā jahān ban kar
ghaTā.eñ bādal ye chāñd taare hasīn qudrat ke sab nazāre
chaman meñ titlī gagan meñ panchhī uḌe haiñ fitrat kī shaan ban kar
agarche tūfān sar uThā.e zamāna yuuñ hī hameñ satā.e
hamārī jur.at rahe salāmat khaḌe haiñ ham to chaTān ban kar
hamīñ ne sīñchā hai is chaman ko hamīñ se urdu kā bāñkpan hai
hamāre ḳhūn-e-jigar kī ḳhushbū mahak rahī hai zabān ban kar
fazā meñ naġhme mohabbatoñ ke zamīñ pe charche sadāqatoñ ke
kareñge māhaul aisā barpā ham amn ke tarjumān ban kar
yazīdī bai'at kā zikr chhoḌo husainī fitrat se naata joḌo
tumhīñ rahoge hamesha zinda jahāñ meñ haq kā nishān ban kar
ajab zamāna thā vo zamāna ajab hai un kā hasīñ fasāna
vo jin ke chehroñ se nuur barse raheñ jo sab kī amaan ban kar
hai maañ ke āñchal kī ThanDī chhāñv to kyoñ na apnī thakan miTā.ūñ
vo merī hastī ke garm sahrā pe rahtī hai sā.ebān ban kar
'shajī.a' ulfat ke giit gaao rah-e-talab meñ ye jaañ luTāo
rahoge zinda hikāyatoñ meñ vafā kī tum dāstāñ ban kar
tum apni yaadon ki kahkashan se saja hua aasman ban kar
mere tasawwur pe chha bhi jao mohabbaton ka jahan ban kar
ghaTaen baadal ye chand tare hasin qudrat ke sab nazare
chaman mein titli gagan mein panchhi uDe hain fitrat ki shan ban kar
agarche tufan sar uThae zamana yun hi hamein satae
hamari jurat rahe salamat khaDe hain hum to chaTan ban kar
hamin ne sincha hai is chaman ko hamin se urdu ka bankpan hai
hamare KHun-e-jigar ki KHushbu mahak rahi hai zaban ban kar
faza mein naghme mohabbaton ke zamin pe charche sadaqaton ke
karenge mahaul aisa barpa hum amn ke tarjuman ban kar
yazidi bai'at ka zikr chhoDo husaini fitrat se nata joDo
tumhin rahoge hamesha zinda jahan mein haq ka nishan ban kar
ajab zamana tha wo zamana ajab hai un ka hasin fasana
wo jin ke chehron se nur barse rahen jo sab ki aman ban kar
hai man ke aanchal ki ThanDi chhanw to kyon na apni thakan miTaun
wo meri hasti ke garm sahra pe rahti hai saeban ban kar
'shajia' ulfat ke git gao rah-e-talab mein ye jaan luTao
rahoge zinda hikayaton mein wafa ki tum dastan ban kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.