tum baat karo us se jo ho baat ke qabil
tum baat karo us se jo ho baat ke qābil
ham baat ke qābil na mulāqāt ke qābil
allāh kī qudrat hai kahāñ ġhair kahāñ ham
chaḌhtī haiñ vo muñh par jo na thī baat ke qābil
kah do mirī turbat meñ nakīrain na aa.eñ
hotā nahīñ dīvāna mulāqāt ke qābil
kyā zikr-e-ruḳh-e-yār karūñ tiira diloñ se
din kī ye kahānī hai nahīñ raat ke qābil
zebā hai mirā ḳhāna-e-dil ho jo ghar us kā
ye kā'ba hai us qibla-e-hājāt ke qābil
sharm aa.ī hai har chand ki hai naqd-e-ḳhirad paas
ye nazr nahīñ pīr-e-ḳharābāt ke qābil
ḳhāmosh rahe ham jo ga.e dair-o-haram meñ
donoñ nazar aa.e na munājāt ke qābil
hairat se hai sab barm-e-muraqqā tire aage
kis kā hai dahan harf-o-hikāyāt ke qābil
tū hamd ke qābil hai zarā shak nahīñ is meñ
lekin hai kahāñ hamd tirī zaat ke qābil
muñh moḌ ga.ī teġh tirī iid ke din bhī
shāyad mujhe samjhī na mulāqāt ke qābil
itnā bhī kaleja nahīñ ġham ko jo ḳhilā.uñ
taqdīr ne rakkhā na mudārāt ke qābil
ta.amīr jo ka.abe kī huī nāf-e-zamīñ meñ
shāyad ye zamīñ thī na ḳharābāt ke qābil
laa.eq nahīñ jo baat ke haiñ ham-suḳhan us se
ḳhāmosh vo baiThe haiñ jo haiñ baat ke qābil
karte haiñ jo vo faḳhr do abrū pe bajā hai
haqqā ki ye matl.a hai mabāhāt ke qābil
ġhunche ko hai bejā dahan-e-yār se da.avā
chhoTā sā dahan kab hai baḌī baat ke qābil
ham mahfil-e-jānāñ meñ 'asīr' aap hī chup haiñ
bāteñ vo banā.eñ ki jo hoñ baat ke qābil
tum baat karo us se jo ho baat ke qabil
hum baat ke qabil na mulaqat ke qabil
allah ki qudrat hai kahan ghair kahan hum
chaDhti hain wo munh par jo na thi baat ke qabil
kah do meri turbat mein nakirain na aaen
hota nahin diwana mulaqat ke qabil
kya zikr-e-ruKH-e-yar karun tera dilon se
din ki ye kahani hai nahin raat ke qabil
zeba hai mera KHana-e-dil ho jo ghar us ka
ye ka'ba hai us qibla-e-hajat ke qabil
sharm aai hai har chand ki hai naqd-e-KHirad pas
ye nazr nahin pir-e-KHarabaat ke qabil
KHamosh rahe hum jo gae dair-o-haram mein
donon nazar aae na munajat ke qabil
hairat se hai sab barm-e-muraqqa tere aage
kis ka hai dahan harf-o-hikayat ke qabil
tu hamd ke qabil hai zara shak nahin is mein
lekin hai kahan hamd teri zat ke qabil
munh moD gai tegh teri id ke din bhi
shayad mujhe samjhi na mulaqat ke qabil
itna bhi kaleja nahin gham ko jo KHilaun
taqdir ne rakkha na mudaraat ke qabil
tamir jo kabe ki hui naf-e-zamin mein
shayad ye zamin thi na KHarabaat ke qabil
laeq nahin jo baat ke hain ham-suKHan us se
KHamosh wo baiThe hain jo hain baat ke qabil
karte hain jo wo faKHr do abru pe baja hai
haqqa ki ye matla hai mabahat ke qabil
ghunche ko hai beja dahan-e-yar se dawa
chhoTa sa dahan kab hai baDi baat ke qabil
hum mahfil-e-jaanan mein 'asir' aap hi chup hain
baaten wo banaen ki jo hon baat ke qabil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.