tum bhi ab shahr se Dar jate ho had karte ho
tum bhī ab shahr se Dar jaate ho had karte ho
dekh kar mujh ko guzar jaate ho had karte ho
nain to yūñhī tumhāre haiñ balā ke qātil
us pe tum roz sañvar jaate ho had karte ho
merī āñkhoñ se bhī aañsū nahīñ girne paate
merī āñkhoñ meñ Thahar jaate ho had karte ho
mere jazbāt meñ tum bah to liyā karte ho
kaise dariyā ho utar jaate ho had karte ho
maiñ bhī har roz tirī maan liyā kartī huuñ
tum bhī har roz mukar jaate ho had karte ho
terī ḳhushbū ko zamāne se chhupā.ūñ kaise
tum jo chup-chāp bikhar jaate ho had karte ho
tum to kahte the rabāb ab maiñ tirī mānūñgā
phir bhī tum der se ghar jaate ho had karte ho
tum bhi ab shahr se Dar jate ho had karte ho
dekh kar mujh ko guzar jate ho had karte ho
nain to yunhi tumhaare hain bala ke qatil
us pe tum roz sanwar jate ho had karte ho
meri aankhon se bhi aansu nahin girne pate
meri aankhon mein Thahar jate ho had karte ho
mere jazbaat mein tum bah to liya karte ho
kaise dariya ho utar jate ho had karte ho
main bhi har roz teri man liya karti hun
tum bhi har roz mukar jate ho had karte ho
teri KHushbu ko zamane se chhupaun kaise
tum jo chup-chap bikhar jate ho had karte ho
tum to kahte the rabab ab main teri manunga
phir bhi tum der se ghar jate ho had karte ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.