tum bhi dekho jo humne dekha hai
tum bhī dekho jo ham ne dekhā hai
shahr meñ ik nayā tamāshā hai
raqs karte hue haiñ log magar
ghuñghrū patthar kā sab ne bāñdhā hai
saarī masrūfiyat kī vaj.h vahī
vahī har ḳhvāb kā havāla hai
sab ḳhayāloñ kā ek mehvar vo
saare lamhoñ kā vo shanāsā hai
us ko dekhā to sochtā hī rahā
ḳhvāb ne vāqi.a tarāshā hai
mil ke dekhā to silsila ye khulā
ḳhud hī dariyā hai ḳhud hī pyāsā hai
zehn meñ us kī yaad yuuñ aa.ī
jaise raushan charāġh aatā hai
tum bhi dekho jo hum ne dekha hai
shahr mein ek naya tamasha hai
raqs karte hue hain log magar
ghunghru patthar ka sab ne bandha hai
sari masrufiyat ki wajh wahi
wahi har KHwab ka hawala hai
sab KHayalon ka ek mehwar wo
sare lamhon ka wo shanasa hai
us ko dekha to sochta hi raha
KHwab ne waqia tarasha hai
mil ke dekha to silsila ye khula
KHud hi dariya hai KHud hi pyasa hai
zehn mein us ki yaad yun aai
jaise raushan charagh aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.