tum bhi is sukhte talab ka chehra dekho
tum bhī is sūkhte tālāb kā chehra dekho
aur phir merī tarah ḳhvāb meñ dariyā dekho
ab ye pathrā.ī huī āñkheñ liye phirte raho
maiñ ne kab tum se kahā thā mujhe itnā dekho
raushnī apnī taraf aatī huī lagtī hai
tum kisī roz mire shahr kā chehra dekho
hazrat-e-ḳhizr to is raah meñ milne se rahe
merī maano to kisī peḌ kā saayā dekho
log masrūf haiñ mausam kī ḳharīdārī meñ
ghar chale jaao 'razā' bhaao ġhazal kā dekho
tum bhi is sukhte talab ka chehra dekho
aur phir meri tarah KHwab mein dariya dekho
ab ye pathrai hui aankhen liye phirte raho
main ne kab tum se kaha tha mujhe itna dekho
raushni apni taraf aati hui lagti hai
tum kisi roz mere shahr ka chehra dekho
hazrat-e-KHizr to is rah mein milne se rahe
meri mano to kisi peD ka saya dekho
log masruf hain mausam ki KHaridari mein
ghar chale jao 'raza' bhao ghazal ka dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.