tum bhi jashn-e-bahaar kar dekho
tum bhī jashn-e-bahār kar dekho
ḳhud ko phir sogvār kar dekho
jaane vaale kabhī nahīñ aate
chāho to intizār kar dekho
hijr kā vaqt kāTnā mushkil
tum sitāre shumār kar dekho
terī āñkhoñ meñ merī sūrat hai
naqlī chehra utaar kar dekho
ham ne ek umr haar maanī hai
ab ke tum bhī to haar kar dekho
dard 'shākir' bas aise samjhoge
hasrateñ apnī maar kar dekho
tum bhi jashn-e-bahaar kar dekho
KHud ko phir sogwar kar dekho
jaane wale kabhi nahin aate
chaho to intizar kar dekho
hijr ka waqt kaTna mushkil
tum sitare shumar kar dekho
teri aankhon mein meri surat hai
naqli chehra utar kar dekho
hum ne ek umr haar mani hai
ab ke tum bhi to haar kar dekho
dard 'shakir' bas aise samjhoge
hasraten apni mar kar dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.