tum chale aao to zauq-e-gham-e-hijran bhi nahin
tum chale aao to zauq-e-gham-e-hijran bhi nahin
Nabiul Hasan Shamim
MORE BYNabiul Hasan Shamim
tum chale aao to zauq-e-ġham-e-hijrāñ bhī nahīñ
jaan dene kā kuchh aisā mujhe armāñ bhī nahīñ
dekhtā hai ki koī baat kā pursāñ bhī nahīñ
tire bīmār ko ab ḳhvāhish-e-darmāñ bhī nahīñ
mirī vahshat ke asar se thā zamāna vīrāñ
maiñ bayābāñ meñ nahīñ huuñ to bayābāñ bhī nahīñ
bā.is-e-qatl huā hāl-e-zabūn-e-bismil
ye agar sach hai to phir aap kā ehsāñ bhī nahīñ
merā marnā bhī hai mauqūf irādoñ pe tire
jis ko āsān samajhtā huuñ vo āsāñ bhī nahīñ
tere paikān-e-sitam kā huā maqsad hāsil
zaḳhm dil meñ hai mire aur numāyāñ bhī nahīñ
ham-navā soch meñ haiñ baaġh hai suunā suunā
maiñ qafas meñ huuñ to vo rang-e-gulistāñ bhī nahīñ
dil-e-gum-gashta se milne kī tamanna hai 'shamīm'
ye vo ḳhvāhish hai ki jis kā koī imkāñ bhī nahīñ
tum chale aao to zauq-e-gham-e-hijran bhi nahin
jaan dene ka kuchh aisa mujhe arman bhi nahin
dekhta hai ki koi baat ka pursan bhi nahin
tere bimar ko ab KHwahish-e-darman bhi nahin
meri wahshat ke asar se tha zamana viran
main bayaban mein nahin hun to bayaban bhi nahin
bais-e-qatl hua haal-e-zabun-e-bismil
ye agar sach hai to phir aap ka ehsan bhi nahin
mera marna bhi hai mauquf iradon pe tere
jis ko aasan samajhta hun wo aasan bhi nahin
tere paikan-e-sitam ka hua maqsad hasil
zaKHm dil mein hai mere aur numayan bhi nahin
ham-nawa soch mein hain bagh hai suna suna
main qafas mein hun to wo rang-e-gulistan bhi nahin
dil-e-gum-gashta se milne ki tamanna hai 'shamim'
ye wo KHwahish hai ki jis ka koi imkan bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.