tum dariya sa ashk bahao to jaanen
tum dariyā sā ashk bahāo to jāneñ
kyā guzrī hai baat batāo to jāneñ
daadā kī pahchān batānā āsāñ hai
apne dam par naam kamāo to jāneñ
bastī meñ tum ḳhuub siyāsat karte ho
bastī kī āvāz uThāo to jāneñ
bachchoñ jaisā ashk bahā kar aa.e ho
tum āshiq ho dard chhupāo to jāneñ
jism sajā kar baiTh ga.e ho kyā samjhūñ
palkoñ par kuchh ḳhvāb sajāo to jāneñ
thoḌā pī kar taaj uThāte phirte ho
mai-ḳhānoñ meñ raat batāo to jāneñ
kyuuñ kyā kaise 'faiz' yahī to kartā hai
tum shā.ir ho sher sunāo to jāneñ
tum dariya sa ashk bahao to jaanen
kya guzri hai baat batao to jaanen
dada ki pahchan batana aasan hai
apne dam par nam kamao to jaanen
basti mein tum KHub siyasat karte ho
basti ki aawaz uThao to jaanen
bachchon jaisa ashk baha kar aae ho
tum aashiq ho dard chhupao to jaanen
jism saja kar baiTh gae ho kya samjhun
palkon par kuchh KHwab sajao to jaanen
thoDa pi kar taj uThate phirte ho
mai-KHanon mein raat batao to jaanen
kyun kya kaise 'faiz' yahi to karta hai
tum shair ho sher sunao to jaanen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.