tum dil ki dil mein rakkho bataya nahin karo
![Sabeela Inam Siddiqui Sabeela Inam Siddiqui](https://rekhta.pc.cdn.bitgravity.com/Images/Shayar/round/sabeela-inam-siddiqui.png)
tum dil ki dil mein rakkho bataya nahin karo
Sabeela Inam Siddiqui
MORE BYSabeela Inam Siddiqui
tum dil kī dil meñ rakkho batāyā nahīñ karo
yuuñ kah ke dāstān rulāyā nahīñ karo
mujh se bichhaḌ ke rahtā hai dil-shād ek shaḳhs
ye man-ghaḌat kahānī sunāyā nahīñ karo
āñkhoñ ke gird halqe paḌe jaag jaag kar
nīñdoñ ko merī aise uḌāyā nahīñ karo
merī ġhazal kā tuul tumhāre sabab se hai
tum soch ban ke sher meñ aayā nahīñ karo
taare shumār kartī huuñ shab bhar firāq meñ
tum duur mujh se jaañ mirī jaayā nahīñ karo
mazlūm kī sadā se na aa jaa.e inqalāb
itnā ziyāda zulm bhī Dhāyā nahīñ karo
koshish karo 'sabīla' ke sab tum se ḳhush raheñ
nāhaq kisī ke dil ko dukhāyā nahīñ karo
tum dil ki dil mein rakkho bataya nahin karo
yun kah ke dastan rulaya nahin karo
mujh se bichhaD ke rahta hai dil-shad ek shaKHs
ye man-ghaDat kahani sunaya nahin karo
aankhon ke gird halqe paDe jag jag kar
nindon ko meri aise uDaya nahin karo
meri ghazal ka tul tumhaare sabab se hai
tum soch ban ke sher mein aaya nahin karo
tare shumar karti hun shab bhar firaq mein
tum dur mujh se jaan meri jaya nahin karo
mazlum ki sada se na aa jae inqalab
itna ziyaada zulm bhi Dhaya nahin karo
koshish karo 'sabila' ke sab tum se KHush rahen
nahaq kisi ke dil ko dukhaya nahin karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.