tum ghaTa samjhe the jis ko wo koi baadal na tha
tum ghaTa samjhe the jis ko wo koi baadal na tha
Rana Husain Chanda
MORE BYRana Husain Chanda
tum ghaTā samjhe the jis ko vo koī bādal na thā
thā kaleje kā lahū vo aañkh kā kājal na thā
fāsle kyuuñ ho ga.e itnī mulāqātoñ ke ba.ad
do qadam hī saath chalnā itnā to mushkil na thā
rāt-din kī dāstāñ mujh se ai tanhā.ī na pūchh
dil kabhī bhī us kī yādoñ se magar ġhāfil na thā
jān-e-jāñ ab aap chāhe jo kaheñ mujh ko faqat
aaj kī shab aap se milne kā merā dil na thā
ab to bas bedard lamhe shāmil-e-taqdīr haiñ
vaise merā dil kabhī bhī is qadar ghā.il na thā
phuul kā nazrāna le kar aayā is andāz se
aisā lagtā thā ki jaise vo mirā qātil na thā
mere hoñToñ pe hamesha pyaas ke sahrā rahe
thā ghaTā sā mujh pe lekin TūTtā bādal na thā
chhan-chhanā ke duur tak āvāz gūñjī zor se
TuuT ke bikhrā hai sapnā haañ magar bismil na thā
ishq ne jānāñ ye kyā jaadū sā ham pe kar diyā
dil kabhī bhī is ravayye kī taraf maa.il na thā
kuchh gile shikve shikasta dil se kar lenā kabhī
siskiyoñ se yuuñ bhī 'ra.anā' tum ko kuchh hāsil na thā
tum ghaTa samjhe the jis ko wo koi baadal na tha
tha kaleje ka lahu wo aankh ka kajal na tha
fasle kyun ho gae itni mulaqaton ke baad
do qadam hi sath chalna itna to mushkil na tha
raat-din ki dastan mujh se ai tanhai na puchh
dil kabhi bhi us ki yaadon se magar ghafil na tha
jaan-e-jaan ab aap chahe jo kahen mujh ko faqat
aaj ki shab aap se milne ka mera dil na tha
ab to bas bedard lamhe shamil-e-taqdir hain
waise mera dil kabhi bhi is qadar ghail na tha
phul ka nazrana le kar aaya is andaz se
aisa lagta tha ki jaise wo mera qatil na tha
mere honTon pe hamesha pyas ke sahra rahe
tha ghaTa sa mujh pe lekin TuTta baadal na tha
chhan-chhana ke dur tak aawaz gunji zor se
TuT ke bikhra hai sapna han magar bismil na tha
ishq ne jaanan ye kya jadu sa hum pe kar diya
dil kabhi bhi is rawayye ki taraf mail na tha
kuchh gile shikwe shikasta dil se kar lena kabhi
siskiyon se yun bhi 'rana' tum ko kuchh hasil na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.