tum hamare ho hum tumhaare hain
tum hamāre ho ham tumhāre haiñ
ik samundar ke do kināre haiñ
dasht-e-imkāñ se kū-e-jānāñ tak
ziist ne kitne ruup dhāre haiñ
phuul ḳhushbū charāġh mauj-e-sabā
ye mohabbat ke isti.āre haiñ
kis liye raqs meñ hai charḳh-e-kuhan
kyoñ ta.āqub meñ chāñd taare haiñ
hāsil-e-zindagī haiñ vo lamhe
jo ġham-e-hijr meñ guzāre haiñ
sub.h-e-nau ke na.e na.e manzar
kitne dilkash haiñ kitne pyāre haiñ
jin ko 'aḳhtar' shu.ūr-e-zāt na thā
jiitī baazī vo log haare haiñ
tum hamare ho hum tumhaare hain
ek samundar ke do kinare hain
dasht-e-imkan se ku-e-jaanan tak
zist ne kitne rup dhaare hain
phul KHushbu charagh mauj-e-saba
ye mohabbat ke istiare hain
kis liye raqs mein hai charKH-e-kuhan
kyon taaqub mein chand tare hain
hasil-e-zindagi hain wo lamhe
jo gham-e-hijr mein guzare hain
subh-e-nau ke nae nae manzar
kitne dilkash hain kitne pyare hain
jin ko 'aKHtar' shuur-e-zat na tha
jiti bazi wo log haare hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.