tum hamare na hum tumhaare hue
tum hamāre na ham tumhāre hue
zindagī se haiñ donoñ haare hue
āsmānoñ meñ DhūñDhtā huuñ maiñ
apne vo log jo sitāre hue
tere jaane se ibtidā huī thī
aur phir mustaqil ḳhasāre hue
hādisa ek dam nahīñ huā thā
pahle ik 'umr tak ishāre hue
ham ko duniyā kā tajraba hai 'asar'
ham isī rog ke haiñ maare hue
tum hamare na hum tumhaare hue
zindagi se hain donon haare hue
aasmanon mein DhunDhta hun main
apne wo log jo sitare hue
tere jaane se ibtida hui thi
aur phir mustaqil KHasare hue
hadisa ek dam nahin hua tha
pahle ek 'umr tak ishaare hue
hum ko duniya ka tajraba hai 'asar'
hum isi rog ke hain mare hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.