tum hamein kash mil gae hote
tum hameñ kaash mil ga.e hote
phuul ḳhushiyoñ ke khil ga.e hote
baat dil kī zabān kah detī
hoñT gar yuuñ na sil ga.e hote
tum agar be-hijāb ho jaate
jaane kitnoñ ke dil ga.e hote
haath dil par mire jo rakh dete
zaḳhm siine ke sil ga.e hote
log kahte haiñ aaj mahfil meñ
kaash 'nāsir' bhī mil ga.e hote
tum hamein kash mil gae hote
phul KHushiyon ke khil gae hote
baat dil ki zaban kah deti
honT gar yun na sil gae hote
tum agar be-hijab ho jate
jaane kitnon ke dil gae hote
hath dil par mere jo rakh dete
zaKHm sine ke sil gae hote
log kahte hain aaj mahfil mein
kash 'nasir' bhi mil gae hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.