tum hi nahin ho mere gham se be-KHabar tanha
tum hī nahīñ ho mire ġham se be-ḳhabar tanhā
jalā hai dil kā diyā raat raat bhar tanhā
haiñ sāmrī ke pujārī hī is nagar ke ḳhudā
mirā nasīb ki maiñ aa gayā idhar tanhā
ye sar pe dhuup ye hadd-e-nigāh tak sahrā
bas ek maiñ huuñ mirā jism hai magar tanhā
rahī aniis mirī nā-murādiyoñ kī thakan
kaTā nahīñ hai mirī ziist kā safar tanhā
ḳhayāl-e-sāya-e-gesū bhī ho sakā na nasīb
kaTī hai merī javānī kī dopahar tanhā
na abrūoñ ke darīche na ḳhāl-o-ḳhad ke chaman
mirā junūñ mujhe pahuñchā gayā kidhar tanhā
ye āftāb-o-kavākib ye kahkashāñ kā hujūm
haiñ saath saath magar sab kā hai safar tanhā
kalām kartī rahī mujh se kā.enāt kī ruuh
kaTī nahīñ hai sitāroñ kī rahguzar tanhā
tulūa hote haiñ mahtāb zehn meñ 'kausar'
ġhurūb hotā hai jab kaukab-e-sahar tanhā
tum hi nahin ho mere gham se be-KHabar tanha
jala hai dil ka diya raat raat bhar tanha
hain samri ke pujari hi is nagar ke KHuda
mera nasib ki main aa gaya idhar tanha
ye sar pe dhup ye hadd-e-nigah tak sahra
bas ek main hun mera jism hai magar tanha
rahi anis meri na-muradiyon ki thakan
kaTa nahin hai meri zist ka safar tanha
KHayal-e-saya-e-gesu bhi ho saka na nasib
kaTi hai meri jawani ki dopahar tanha
na abruon ke dariche na KHal-o-KHad ke chaman
mera junun mujhe pahuncha gaya kidhar tanha
ye aaftab-o-kawakib ye kahkashan ka hujum
hain sath sath magar sab ka hai safar tanha
kalam karti rahi mujh se kaenat ki ruh
kaTi nahin hai sitaron ki rahguzar tanha
tulua hote hain mahtab zehn mein 'kausar'
ghurub hota hai jab kaukab-e-sahar tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.