tum hijr ke jhagDon ko miTa kyon nahin dete
tum hijr ke jhagḌoñ ko miTā kyoñ nahīñ dete
bigḌī huī taqdīr banā kyoñ nahīñ dete
dard-e-dil-e-betāb ghaTā kyoñ nahīñ dete
mahfil se raqīboñ ko uThā kyoñ nahīñ dete
kyoñ hai ḳhafagī kis liye māthe pe shikan hai
taqsīr mirī aap batā kyoñ nahīñ dete
tum se jo kiyā karte haiñ har-vaqt daġhā.eñ
ai hazrat-e-dil un ko duā kyoñ nahīñ dete
majbūr huuñ maiñ kashmakash-e-ranj-o-alam meñ
tum aa ke mirī jaan chhuḌā kyoñ nahīñ dete
tang aa.e haiñ ham-sāya jo fariyād se merī
us shoḳh fusūñ-gar ko bulā kyoñ nahīñ dete
ik bosa-e-ruḳhsār kā muddat se huuñ saa.il
haiñ aap agar ahl-e-saḳhā kyoñ nahīñ dete
vo pūchhte phirte haiñ ki maiñ kis ko miTā.ūñ
turbat ko mirī log batā kyoñ nahīñ dete
martā huuñ maiñ tum par jo kahā un se to bole
ye sach hai to phir mar ke dikhā kyoñ nahīñ dete
vo tazkira-e-sadma-e-hijrāñ pe shab-e-vasl
bole ki use dil se bhulā kyoñ nahīñ dete
jab maiñ ne kahā tum se hasīñ aur bahut haiñ
kis naaz se bole ki dikhā kyoñ nahīñ dete
kyoñ qatl kī pursish pe sar-e-hashr ho ḳhāmosh
ilzām raqīboñ pe lagā kyoñ nahīñ dete
hai 'nashtar'-e-nāshād jhukā.e hue sar ko
tum jauhar-e-shamshīr dikhā kyoñ nahīñ dete
tum hijr ke jhagDon ko miTa kyon nahin dete
bigDi hui taqdir bana kyon nahin dete
dard-e-dil-e-betab ghaTa kyon nahin dete
mahfil se raqibon ko uTha kyon nahin dete
kyon hai KHafagi kis liye mathe pe shikan hai
taqsir meri aap bata kyon nahin dete
tum se jo kiya karte hain har-waqt daghaen
ai hazrat-e-dil un ko dua kyon nahin dete
majbur hun main kashmakash-e-ranj-o-alam mein
tum aa ke meri jaan chhuDa kyon nahin dete
tang aae hain ham-saya jo fariyaad se meri
us shoKH fusun-gar ko bula kyon nahin dete
ek bosa-e-ruKHsar ka muddat se hun sail
hain aap agar ahl-e-saKHa kyon nahin dete
wo puchhte phirte hain ki main kis ko miTaun
turbat ko meri log bata kyon nahin dete
marta hun main tum par jo kaha un se to bole
ye sach hai to phir mar ke dikha kyon nahin dete
wo tazkira-e-sadma-e-hijran pe shab-e-wasl
bole ki use dil se bhula kyon nahin dete
jab main ne kaha tum se hasin aur bahut hain
kis naz se bole ki dikha kyon nahin dete
kyon qatl ki pursish pe sar-e-hashr ho KHamosh
ilzam raqibon pe laga kyon nahin dete
hai 'nashtar'-e-nashad jhukae hue sar ko
tum jauhar-e-shamshir dikha kyon nahin dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.