tum ho jab mere liye hain do-jahan mere liye
tum ho jab mere liye haiñ do-jahāñ mere liye
ye zamīñ mere liye ye āsmāñ mere liye
is tarah jazbāt-e-āzādī bahal jā.eñge kyā
ban rahā hai kyuuñ qafas meñ āshiyāñ mere liye
maiñ chalā jā.ūñ na gulshan chhoḌ kar qabl-az-bahār
kyuuñ girīñ saare chaman par bijliyāñ mere liye
ro rahā huuñ aaj maiñ saare jahāñ ke vāste
ro.egā kal dekhnā saarā jahāñ mere liye
iztirāb-e-shauq se kyā kyā huī haiñ laġhzisheñ
iltifāt-e-yār ne jab imtihāñ mere liye
hai mohabbat kab rahīn-e-rāh-o-rasm-e-tāhirī
bandagī hai be-niyāz-e-āstāñ mere liye
be-panāhī hai yahī 'bismil' jo husn-o-ishq kī
hogī nā-kāfī hayāt-e-jāvidāñ mere liye
tum ho jab mere liye hain do-jahan mere liye
ye zamin mere liye ye aasman mere liye
is tarah jazbaat-e-azadi bahal jaenge kya
ban raha hai kyun qafas mein aashiyan mere liye
main chala jaun na gulshan chhoD kar qabl-az-bahaar
kyun girin sare chaman par bijliyan mere liye
ro raha hun aaj main sare jahan ke waste
roega kal dekhna sara jahan mere liye
iztirab-e-shauq se kya kya hui hain laghzishen
iltifat-e-yar ne jab imtihan mere liye
hai mohabbat kab rahin-e-rah-o-rasm-e-tahiri
bandagi hai be-niyaz-e-astan mere liye
be-panahi hai yahi 'bismil' jo husn-o-ishq ki
hogi na-kafi hayat-e-jawidan mere liye
- Book : Kulliyat-e-bismil Saeedi (Pg. 191)
- Author : Bismil Saeedi
- Publication : Sahitya Akademi (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.