tum ho jahan ke shayad main bhi wahan raha hun
tum ho jahāñ ke shāyad maiñ bhī vahāñ rahā huuñ
kuchh tum bhī bhūlte ho kuchh maiñ bhī bhūltā huuñ
miTtā bhī jā rahā huuñ puurā bhī ho rahā huuñ
maiñ kis kī aarzū huuñ maiñ kis kā mudda.ā huuñ
manzil kī yuuñ to mujh ko koī ḳhabar nahīñ hai
dil meñ kisī taraf ko kuchh sochtā chalā huuñ
letī haiñ ulTī sāñseñ jab shām-e-ġham fazā.eñ
us dam fanā-baqā kī maiñ nabz dekhtā huuñ
huuñ vo shuā-e-fardā jo aañkh mal rahī hai
vo surmagīñ ufuq par maiñ thartharā rahā huuñ
jis se shajar-hajar meñ ik ruuh dauḌ jaa.e
vo sāz-e-sarmadī maiñ ġhazloñ meñ chheḌtā huuñ
tum ho jahan ke shayad main bhi wahan raha hun
kuchh tum bhi bhulte ho kuchh main bhi bhulta hun
miTta bhi ja raha hun pura bhi ho raha hun
main kis ki aarzu hun main kis ka muddaa hun
manzil ki yun to mujh ko koi KHabar nahin hai
dil mein kisi taraf ko kuchh sochta chala hun
leti hain ulTi sansen jab sham-e-gham fazaen
us dam fana-baqa ki main nabz dekhta hun
hun wo shua-e-farda jo aankh mal rahi hai
wo surmagin ufuq par main tharthara raha hun
jis se shajar-hajar mein ek ruh dauD jae
wo saz-e-sarmadi main ghazlon mein chheDta hun
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 209)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.