tum ho masih-e-dard to bimar kaun hai
tum ho masīh-e-dard to bīmār kaun hai
zulmat-kade meñ matla-e-anvār kaun hai
nazreñ jhukā.e baiThā hai kis ke ḳhayāl meñ
uTh kar to dekhiye pas-e-dīvār kaun hai
jis ne ḳhayāl-o-fikr kā lahja badal diyā
har fan ke aa.ine meñ vo fankār kaun hai
vo be-naqāb ho to ye ham faisla kareñ
kis par nasha savār hai hushiyār kaun hai
yūsuf to bikne aa ga.e bāzār-e-ishq meñ
ab dekhnā ye hai ki ḳharīdār kaun hai
kahne ko yuuñ to haq ke talabgār haiñ bahut
haq par nisār hone ko tayyār kaun hai
tum ho masih-e-dard to bimar kaun hai
zulmat-kade mein matla-e-anwar kaun hai
nazren jhukae baiTha hai kis ke KHayal mein
uTh kar to dekhiye pas-e-diwar kaun hai
jis ne KHayal-o-fikr ka lahja badal diya
har fan ke aaine mein wo fankar kaun hai
wo be-naqab ho to ye hum faisla karen
kis par nasha sawar hai hushiyar kaun hai
yusuf to bikne aa gae bazar-e-ishq mein
ab dekhna ye hai ki KHaridar kaun hai
kahne ko yun to haq ke talabgar hain bahut
haq par nisar hone ko tayyar kaun hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.