tum ho qatra to qadam had se na bahar rakhna
tum ho qatra to qadam had se na bāhar rakhnā
dil magar saat samundar ke barābar rakhnā
zeb detī to hai dastār magar sarv-qado
sar zarā turra-e-dastār se bāhar rakhnā
justujū apnī zarūrat hai talab apnī ġharaz
kaam apnā hai to kyoñ baar kisī par rakhnā
zahr-e-ehsās kī talḳhī liye ghar mat jaanā
din to kajlāyā magar raat munavvar rakhnā
chārpā.ī ke barābar bhī farāḳhī na milī
paañv phailānā kahāñ aur kahāñ sar rakhnā
mauj-e-ḳhūñ sho.ala-numā shahr chaTaḳhtī lāsheñ
haa.e kis tarah se āñkhoñ meñ ye manzar rakhnā
sehn-e-jāñ taaza havā se na ho mahrūm 'ayāz'
ek dīvār uThānā to ka.ī dar rakhnā
tum ho qatra to qadam had se na bahar rakhna
dil magar sat samundar ke barabar rakhna
zeb deti to hai dastar magar sarw-qado
sar zara turra-e-dastar se bahar rakhna
justuju apni zarurat hai talab apni gharaz
kaam apna hai to kyon bar kisi par rakhna
zahr-e-ehsas ki talKHi liye ghar mat jaana
din to kajlaya magar raat munawwar rakhna
chaarpai ke barabar bhi faraKHi na mili
panw phailana kahan aur kahan sar rakhna
mauj-e-KHun shoala-numa shahr chaTaKHti lashen
hae kis tarah se aankhon mein ye manzar rakhna
sehn-e-jaan taza hawa se na ho mahrum 'ayaz'
ek diwar uThana to kai dar rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.