tum ho shaer meri jaan jite raho
tum ho shā.er mirī jaan jiite raho
sher kahte raho zahr piite raho
sīna-e-chāk hī mish.al-e-nūr hai
sīna-chāko isī tarah jiite raho
raat jaagī huī hai havā mehrbāñ
phir ye lamhe kahāñ, aaj piite raho
rok lo dil pe sail-e-girān-e-alam
dosto zindagī ke chahīte raho
itnī fursat kise hai ki dekhe tumheñ
chaak kar lo girebāñ ki siite raho
tum ho shaer meri jaan jite raho
sher kahte raho zahr pite raho
sina-e-chaak hi mishal-e-nur hai
sina-chaako isi tarah jite raho
raat jagi hui hai hawa mehrban
phir ye lamhe kahan, aaj pite raho
rok lo dil pe sail-e-giran-e-alam
dosto zindagi ke chahite raho
itni fursat kise hai ki dekhe tumhein
chaak kar lo gireban ki site raho
- Book : Range-e-Gazal (Pg. 301)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.