tum ho ya chheDti hai yaad-e-sahar koi to hai
tum ho yā chheḌtī hai yād-e-sahar koī to hai
khaTkhaTātā hai jo ye ḳhvāb kā dar koī to hai
dil pe paḌtī huī duzdīda-nazar koī to hai
jis taraf dekh rahā huuñ maiñ udhar koī to hai
aise nādāñ nahīñ rātoñ meñ bhaTakne vaale
jāgtī āñkhoñ meñ ḳhurshīd-e-sahar koī to hai
ḳhud-baḳhud haath garebāñ kī taraf uThte haiñ
sarsarātī sī havāoñ meñ ḳhabar koī to hai
kis kā muñh dekh rahī hai safar-āmāda hayāt
sū-e-maqtal hī sahī rāhguzar koī to hai
tū mujhe dekh mire paañv ke chhāloñ pe na jā
zindagī tere liye ḳhāk-basar koī to hai
din kaTā saarā ḳharāboñ meñ bhaTakte 'aḳhtar'
shaam hotī hai chalo ḳhair se ghar koī to hai
tum ho ya chheDti hai yaad-e-sahar koi to hai
khaTkhaTata hai jo ye KHwab ka dar koi to hai
dil pe paDti hui duzdida-nazar koi to hai
jis taraf dekh raha hun main udhar koi to hai
aise nadan nahin raaton mein bhaTakne wale
jagti aankhon mein KHurshid-e-sahar koi to hai
KHud-baKHud hath gareban ki taraf uThte hain
sarsaraati si hawaon mein KHabar koi to hai
kis ka munh dekh rahi hai safar-amada hayat
su-e-maqtal hi sahi rahguzar koi to hai
tu mujhe dekh mere panw ke chhaalon pe na ja
zindagi tere liye KHak-basar koi to hai
din kaTa sara KHarabon mein bhaTakte 'aKHtar'
sham hoti hai chalo KHair se ghar koi to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.