tum ek aise shaKHs ko pahchante ho ya nahin
tum ik aise shaḳhs ko pahchānte ho yā nahīñ
jis kā chehra boltā hai aur lab goyā nahīñ
sub.h ko dekhā to do ghaav mire chehre pe the
raat kuchh rone kī ḳhvāhish thī magar royā nahīñ
phailtā jaatā hai ḳhud-rav sabza-e-ġham chār-sū
khet vo kāTūñgā jo maiñ ne kabhī boyā nahīñ
ḳhvāb dekhā thā koī bachpan kī kachchī niiñd meñ
dosto phir chain se maiñ aaj tak soyā nahīñ
zīnat-e-malbūs-e-hastī baḌh ga.ī jis daaġh se
zindagī bhar maiñ ne aise daaġh ko dhoyā nahīñ
tum ek aise shaKHs ko pahchante ho ya nahin
jis ka chehra bolta hai aur lab goya nahin
subh ko dekha to do ghaw mere chehre pe the
raat kuchh rone ki KHwahish thi magar roya nahin
phailta jata hai KHud-raw sabza-e-gham chaar-su
khet wo kaTunga jo main ne kabhi boya nahin
KHwab dekha tha koi bachpan ki kachchi nind mein
dosto phir chain se main aaj tak soya nahin
zinat-e-malbus-e-hasti baDh gai jis dagh se
zindagi bhar main ne aise dagh ko dhoya nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.