tum ishq karo mat karo ilzam to denge
tum ishq karo mat karo ilzām to deñge
be-nām se rishte ko koī naam to deñge
phir se inhīñ mai-ḳhvāroñ ke biich aaya huuñ vāpas
do baat sunā.eñge par ik jaam to deñge
kis shaḳhs ko kab yaad kiyā gin ke batāo
rahte ho mire dil meñ koī kaam to deñge
phal-phūl na de paa.eñ bhale apne daraḳht aaj
ham dasht-navardoñ ko kuchh ārām to deñge
tum ishq karo mat karo ilzam to denge
be-nam se rishte ko koi nam to denge
phir se inhin mai-KHwaron ke bich aaya hun wapas
do baat sunaenge par ek jam to denge
kis shaKHs ko kab yaad kiya gin ke batao
rahte ho mere dil mein koi kaam to denge
phal-phul na de paen bhale apne daraKHt aaj
hum dasht-nawardon ko kuchh aaram to denge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.