tum ja rahe ho hum ko bhulane ke waste
tum jā rahe ho ham ko bhulāne ke vāste
ham aa rahe haiñ tum ko manāne ke vāste
patthar ke paas dil kahāñ jis ko burā lage
kyoñ itnā sochte ho haTāne ke vāste
kuchh sāzisheñ to sirf isī vajah se huiiñ
apne ko sāzishoñ se bachāne ke vāste
mujh ko bhulā ke vo bhī ka.ī baar ro.e haiñ
lekin vafā kā Dhoñg rachāne ke vāste
koī nahīñ hai bazm meñ jo tum ko pūchh le
lagtā hai mar ga.e ho zamāne ke vāste
tum ja rahe ho hum ko bhulane ke waste
hum aa rahe hain tum ko manane ke waste
patthar ke pas dil kahan jis ko bura lage
kyon itna sochte ho haTane ke waste
kuchh sazishen to sirf isi wajah se huin
apne ko sazishon se bachane ke waste
mujh ko bhula ke wo bhi kai bar roe hain
lekin wafa ka Dhong rachane ke waste
koi nahin hai bazm mein jo tum ko puchh le
lagta hai mar gae ho zamane ke waste
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.