tum jafaon ko zara rang-e-wafa to de do
tum jafāoñ ko zarā rang-e-vafā to de do
sho.ala-e-ishq ko thoḌī sī havā to de do
kyoñ pashemān ho taaza hai abhī ḳhūn-e-jigar
lo kaf-e-nāz ko tum rang-e-hinā to de do
ai sabā phuul pareshān haiñ ḳhushbū ke liye
un ke āñchal kī mahak lā ke zarā to de do
sho.ala-e-husn kahīñ ḳhaak na kar de mujh ko
chehra-e-nūr pe zulfoñ kī ghaTā to de do
hosh kī baat junūñ meñ nahīñ bhātī 'shāhid'
mere muḳhlis mujhe manzil kā pata to de do
tum jafaon ko zara rang-e-wafa to de do
shoala-e-ishq ko thoDi si hawa to de do
kyon pasheman ho taza hai abhi KHun-e-jigar
lo kaf-e-naz ko tum rang-e-hina to de do
ai saba phul pareshan hain KHushbu ke liye
un ke aanchal ki mahak la ke zara to de do
shoala-e-husn kahin KHak na kar de mujh ko
chehra-e-nur pe zulfon ki ghaTa to de do
hosh ki baat junun mein nahin bhati 'shahid'
mere muKHlis mujhe manzil ka pata to de do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.