tum jahan the wahan ke the hi nahin
tum jahāñ the vahāñ ke the hī nahīñ
ya.anī tum is jahāñ ke the hī nahīñ
kaise uljhe haiñ kār-e-duniyā meñ
ham jo sūd-o-ziyāñ ke the hī nahīñ
maiñ to ik vahshat-e-digar meñ thā
mas.ale jism-o-jāñ ke the hī nahīñ
dasht-e-jāñ se nigāh-e-yār talak
rāste darmiyāñ ke the hī nahīñ
kyuuñ mirī dāstāñ kā hissa haiñ
jo mirī dāstāñ ke the hī nahīñ
ḳhvāb be-barg-o-bār kaise hue
jab ki ye din ḳhizāñ ke the hī nahīñ
tum jahan the wahan ke the hi nahin
yani tum is jahan ke the hi nahin
kaise uljhe hain kar-e-duniya mein
hum jo sud-o-ziyan ke the hi nahin
main to ek wahshat-e-digar mein tha
masale jism-o-jaan ke the hi nahin
dasht-e-jaan se nigah-e-yar talak
raste darmiyan ke the hi nahin
kyun meri dastan ka hissa hain
jo meri dastan ke the hi nahin
KHwab be-barg-o-bar kaise hue
jab ki ye din KHizan ke the hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.