tum jinhen dil mein liye phirte ho jazbon ki tarah
tum jinheñ dil meñ liye phirte ho jazboñ kī tarah
zarb-e-lafzī se bikhar jā.eñge shīshoñ kī tarah
us ne va.ade jo kiye the kabhī qasmoñ kī tarah
dil pe tahrīr haiñ hāthoñ kī lakīroñ kī tarah
maiñ ki azmat meñ farishtoñ se ziyāda huuñ magar
chāhtā ye huuñ nazar aa.uuñ farishtoñ kī tarah
saañs ke saath ghuTe jaate haiñ rūhoñ ke libās
ham bhī tahlīl hue jaate haiñ lamhoñ kī tarah
ye ghaTā.eñ ye siyah raat ye kājal ye nasīb
in meñ koī bhī nahīñ hai tirī zulfoñ kī tarah
koī dhaḌkan yā harārat yā koī aañsū ho
yuuñ to patthar bhī nazar aate haiñ jismoñ kī tarah
intizār aur kisī sho.ala-badan kā 'aḳhtar'
merī āñkheñ mujhe lagne lagīñ chhāloñ kī tarah
tum jinhen dil mein liye phirte ho jazbon ki tarah
zarb-e-lafzi se bikhar jaenge shishon ki tarah
us ne wade jo kiye the kabhi qasmon ki tarah
dil pe tahrir hain hathon ki lakiron ki tarah
main ki azmat mein farishton se ziyaada hun magar
chahta ye hun nazar aaun farishton ki tarah
sans ke sath ghuTe jate hain ruhon ke libas
hum bhi tahlil hue jate hain lamhon ki tarah
ye ghaTaen ye siyah raat ye kajal ye nasib
in mein koi bhi nahin hai teri zulfon ki tarah
koi dhaDkan ya hararat ya koi aansu ho
yun to patthar bhi nazar aate hain jismon ki tarah
intizar aur kisi shoala-badan ka 'aKHtar'
meri aankhen mujhe lagne lagin chhaalon ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.