tum jise kahte ho KHaslat mujhe le Dubegi
tum jise kahte ho ḳhaslat mujhe le Dūbegī
sab ko ḳhush rakhne kī hasrat mujhe le Dūbegī
har ghaḌī terī zarūrat mujhe le Dūbegī
terī itnī ye 'ināyat mujhe le Dūbegī
tanhā mujh ko to kabhī chhoḌ mire hamdam tū
terī har lamhe kī 'ādat mujhe le Dūbegī
mashvara terā tujhe bhuul maiñ jā.ūñ lekin
terī yādoñ se ye mohlat mujhe le Dūbegī
dariyā huuñ maiñ mirī fitrat hai musalsal bahnā
terī chāhat kī ye shiddat mujhe le Dūbegī
shahr meñ tere mohabbat bhī bikā kartī hai
dil meñ paivast ye ulfat mujhe le Dūbegī
ab chalan dekh ke duniyā kā yahī samjhā huuñ
daur-e-hāzir meñ sharāfat mujhe le Dūbegī
tum jise kahte ho KHaslat mujhe le Dubegi
sab ko KHush rakhne ki hasrat mujhe le Dubegi
har ghaDi teri zarurat mujhe le Dubegi
teri itni ye 'inayat mujhe le Dubegi
tanha mujh ko to kabhi chhoD mere hamdam tu
teri har lamhe ki 'adat mujhe le Dubegi
mashwara tera tujhe bhul main jaun lekin
teri yaadon se ye mohlat mujhe le Dubegi
dariya hun main meri fitrat hai musalsal bahna
teri chahat ki ye shiddat mujhe le Dubegi
shahr mein tere mohabbat bhi bika karti hai
dil mein paiwast ye ulfat mujhe le Dubegi
ab chalan dekh ke duniya ka yahi samjha hun
daur-e-hazir mein sharafat mujhe le Dubegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.