tum jo chaho hansi-KHushi rahna
tum jo chāho hañsī-ḳhushī rahnā
shahr meñ apne ajnabī rahnā
jaane kab us kī yaad aa jaa.e
zehn kī khiḌkiyo khulī rahnā
maslahat buzdilī hai taqrīban
maslahat se tū duur hī rahnā
aaj hirs-o-havas kī duniyā meñ
kitnā mushkil hai aadmī rahnā
kaisī sargoshiyāñ haiñ lamhoñ meñ
'aql se kah do jāgtī rahnā
ye ruteñ ajnabī na ho jaa.eñ
sīkho masrūf-e-zindagī rahnā
mom ho jaanā ek vasf to hai
sang kā ham-mizāj bhī rahnā
tum jo chaho hansi-KHushi rahna
shahr mein apne ajnabi rahna
jaane kab us ki yaad aa jae
zehn ki khiDkiyo khuli rahna
maslahat buzdili hai taqriban
maslahat se tu dur hi rahna
aaj hirs-o-hawas ki duniya mein
kitna mushkil hai aadmi rahna
kaisi sargoshiyan hain lamhon mein
'aql se kah do jagti rahna
ye ruten ajnabi na ho jaen
sikho masruf-e-zindagi rahna
mom ho jaana ek wasf to hai
sang ka ham-mizaj bhi rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.