tum jo chaho to kahani ye suna dete hain
tum jo chāho to kahānī ye sunā dete haiñ
kis tarah log mohabbat meñ daġhā dete haiñ
varna ye rāz-e-mohabbat to ayaañ hotā nahīñ
log kam-zarf ka.ī shor machā dete haiñ
kis tarah un ko falak chhūne se rokegī havā
jin parindoñ ko hare peḌ duā dete haiñ
maiñ jinheñ chhoḌ ke pardes chalā aayā huuñ
rāste aaj bhī gaañv ke sadā dete haiñ
gar yaqīñ aatā nahīñ hai tujhe is vahshat kā
zaḳhm sahrā tujhe siine ke dikhā dete haiñ
ye zarūrī to nahīñ dosh havā kā nikle
peḌ ḳhud bhī to parindoñ ko uḌā dete haiñ
dostoñ se jo atā hote haiñ ghaav 'yāsir'
tazkira karte nahīñ un kā bhulā dete haiñ
tum jo chaho to kahani ye suna dete hain
kis tarah log mohabbat mein dagha dete hain
warna ye raaz-e-mohabbat to ayan hota nahin
log kam-zarf kai shor macha dete hain
kis tarah un ko falak chhune se rokegi hawa
jin parindon ko hare peD dua dete hain
main jinhen chhoD ke pardes chala aaya hun
raste aaj bhi ganw ke sada dete hain
gar yaqin aata nahin hai tujhe is wahshat ka
zaKHm sahra tujhe sine ke dikha dete hain
ye zaruri to nahin dosh hawa ka nikle
peD KHud bhi to parindon ko uDa dete hain
doston se jo ata hote hain ghaw 'yasir'
tazkira karte nahin un ka bhula dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.