tum jo daman zara bhigo lete
tum jo dāman zarā bhigo lete
ham bhī kuchh der khul ke ro lete
ik tirī yaad jo hamārī thī
ik tirā dard jo bichho lete
ālam-e-mastī-o-tarab meñ rahe
ḳhaak kī tīrgī meñ so lete
harf ḳhushbū ke rang meñ likhtī
phuul gajroñ meñ jo piro lete
nā-rasā.ī to ḳhair qismat thī
aur kyā bach gayā jo kho lete
kuuñj kar lā rahī thī sahrā meñ
āb-o-dāna vahāñ bhī bo lete
miT rahī huuñ rah-e-hazīmat meñ
apne hāthoñ se hī Dubo lete
raat kī shaal oḌh kar yuuñ ham
reg-e-rāh-e-ravāñ hī ho lete
saañs apnī mahak mahak jaatī
haath se phuul tere jo lete
tum jo daman zara bhigo lete
hum bhi kuchh der khul ke ro lete
ek teri yaad jo hamari thi
ek tera dard jo bichho lete
aalam-e-masti-o-tarab mein rahe
KHak ki tirgi mein so lete
harf KHushbu ke rang mein likhti
phul gajron mein jo piro lete
na-rasai to KHair qismat thi
aur kya bach gaya jo kho lete
kunj kar la rahi thi sahra mein
aab-o-dana wahan bhi bo lete
miT rahi hun rah-e-hazimat mein
apne hathon se hi Dubo lete
raat ki shaal oDh kar yun hum
reg-e-rah-e-rawan hi ho lete
sans apni mahak mahak jati
hath se phul tere jo lete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.