tum jo jite ho kai bar na jaane kaise
tum jo jiite ho ka.ī baar na jaane kaise
ab agar haar ga.e ho to bahāne kaise
ham ne dekhā nahīñ muḌ kar kabhī maazī kī taraf
ham se mat pūchh ki guzre haiñ zamāne kaise
maiñ ne jalte hue manzar to nahīñ dekhe the
raakh kā Dher hue ḳhvāb suhāne kaise
ijtihād un ke 'amal kī rahī buniyād agar
ho ga.e aise baḌe log purāne kaise
pahle ham niiñd se uTTheñ to uThā.eñ ye savāl
ḳhud jo so.e haiñ chale aa.e jagāne kaise
chaliye tauhīd-parastoñ ko samajh aa hī gayā
vaqt ke saath badalte haiñ Thikāne kaise
jis meñ aane pe na jaane pe koī qudrat hai
aisī mahfil meñ sunā.ūñ maiñ tarāne kaise
khilte haiñ bāġh-e-ḳhirad meñ ye matānat ke gul
jo haiñ bechain tabī'at vo siyāne kaise
bastiyāñ roz ġharīboñ kī ujaḌtī haiñ jahāñ
gūñjte haiñ vahāñ rah rah ke tarāne kaise
baat 'rāhib' ye zarā sī na samajh paa.e tum
rū-barū us ke chaleñge ye bahāne kaise
tum jo jite ho kai bar na jaane kaise
ab agar haar gae ho to bahane kaise
hum ne dekha nahin muD kar kabhi mazi ki taraf
hum se mat puchh ki guzre hain zamane kaise
main ne jalte hue manzar to nahin dekhe the
rakh ka Dher hue KHwab suhane kaise
ijtihad un ke 'amal ki rahi buniyaad agar
ho gae aise baDe log purane kaise
pahle hum nind se uTThen to uThaen ye sawal
KHud jo soe hain chale aae jagane kaise
chaliye tauhid-paraston ko samajh aa hi gaya
waqt ke sath badalte hain Thikane kaise
jis mein aane pe na jaane pe koi qudrat hai
aisi mahfil mein sunaun main tarane kaise
khilte hain bagh-e-KHirad mein ye matanat ke gul
jo hain bechain tabi'at wo siyane kaise
bastiyan roz gharibon ki ujaDti hain jahan
gunjte hain wahan rah rah ke tarane kaise
baat 'rahib' ye zara si na samajh pae tum
ru-baru us ke chalenge ye bahane kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.