tum jo puchho to bataun hai ye kaisi duniya
tum jo pūchho to batā.ūñ hai ye kaisī duniyā
ek-tarfa sā tamāsha hai ye saarī duniyā
ab to ḳhūñ-bār nazar aatā hai aalam saarā
kis qadar ab hai ujaḌtī huī pyārī duniyā
ab zamāne meñ hai barpā ye azāb-e-qudrat
hai dahāne pe khaḌī maut ke apnī duniyā
ek muddat se thā ābād mirā gulshan-e-dil
ab to vīrān hī vīrān hai merī duniyā
ḳhūbsūrat se manāzir haiñ nigāhoñ meñ ab
dekh āñkhoñ se mirī tū ye hamārī duniyā
hai ḳhalā aañkh samundar hai kushāda jaise
ek aañsū ke hī qatre meñ hai simTī duniyā
ab to parvāz kā dam rakhtā hai ye murġh-e-yās
ab qafas meñ hameñ kyā qaid karegī duniyā
ek markaz pe ravāñ gardish-e-daurāñ hai abhī
aur ik mehvar-e-mauhūm pe Thahrī duniyā
'qalb' mar kar bhī kahānī meñ rahegā zinda
ek duniyā se pare aur milegī duniyā
tum jo puchho to bataun hai ye kaisi duniya
ek-tarfa sa tamasha hai ye sari duniya
ab to KHun-bar nazar aata hai aalam sara
kis qadar ab hai ujaDti hui pyari duniya
ab zamane mein hai barpa ye azab-e-qudrat
hai dahane pe khaDi maut ke apni duniya
ek muddat se tha aabaad mera gulshan-e-dil
ab to viran hi viran hai meri duniya
KHubsurat se manazir hain nigahon mein ab
dekh aankhon se meri tu ye hamari duniya
hai KHala aankh samundar hai kushada jaise
ek aansu ke hi qatre mein hai simTi duniya
ab to parwaz ka dam rakhta hai ye murgh-e-yas
ab qafas mein hamein kya qaid karegi duniya
ek markaz pe rawan gardish-e-dauran hai abhi
aur ek mehwar-e-mauhum pe Thahri duniya
'qalb' mar kar bhi kahani mein rahega zinda
ek duniya se pare aur milegi duniya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.