tum jo shamil hue KHayalon mein
tum jo shāmil hue ḳhayāloñ meñ
raushnī aa ga.ī havāloñ meñ
ab to ai chāñd baam par aa jā
chāñdnī aa ga.ī hai bāloñ meñ
us ne nazreñ hī pher lī mujh se
kuchh nahīñ rah gayā savāloñ meñ
ek lamhe kī to zarūrat thī
aur vo lamha na aayā sāloñ meñ
terī āñkhoñ pe baat hone lagī
jañg sī chhiḌ ga.ī ġhazāloñ meñ
qatl insāniyat kā karte haiñ
bheḌiye aadmī kī khāloñ meñ
ye 'muqaddas' haqīqī duniyā hai
aap rahtī haiñ kin ḳhayāloñ meñ
tum jo shamil hue KHayalon mein
raushni aa gai hawalon mein
ab to ai chand baam par aa ja
chandni aa gai hai baalon mein
us ne nazren hi pher li mujh se
kuchh nahin rah gaya sawalon mein
ek lamhe ki to zarurat thi
aur wo lamha na aaya salon mein
teri aankhon pe baat hone lagi
jang si chhiD gai ghazalon mein
qatl insaniyat ka karte hain
bheDiye aadmi ki khaalon mein
ye 'muqaddas' haqiqi duniya hai
aap rahti hain kin KHayalon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.