tum karoge nam raushan KHub tahir mir ka
tum karoge naam raushan ḳhuub 'tāhir' 'mīr' kā
mā-hasal ye hai tumhāre ḳhvāb kī tā'bīr kā
kis tarah tashbīh deñ jannat se deñ dozaḳh se deñ
kaunsā naqsha utāreñ ai ḳhirad kashmīr kā
shams-hā.e-shams tak dāman-darīda ho ga.e
falsafa vo falsafa hai falsafa taqdīr kā
maiñ zamāne ko nahīñ dūñgā mohabbat kā subūt
varna laanā kaunsā mushkil hai jū-e-shīr kā
raat din 'ahd-e-vafā hai sharmsārī kā shikār
toḌ Daalā haa.e qaidī ne bharam zanjīr kā
rakh diyā sūraj kī peshānī pe tābinda charāġh
ruḳh badal kar rakh diyā kis shaḳhs ne tasvīr kā
ai suḳhanvar ye suḳhan ke diin kī buniyād hai
rang aisā munfarid ho jaise 'dāġh'-o-'mīr' kā
pahle ḳhush-guftār lahja phir sitam par ye sitam
chashm-e-āhū se hasīñ mauzū' hai taqrīr kā
us kī āñkhoñ kā nasha kuchh aisā nashsha hai miyāñ
zā.iqa jaise sharāb-e-fikr kī tahrīr kā
tum karoge nam raushan KHub 'tahir' 'mir' ka
ma-hasal ye hai tumhaare KHwab ki ta'bir ka
kis tarah tashbih den jannat se den dozaKH se den
kaunsa naqsha utaren ai KHirad kashmir ka
shams-hae-shams tak daman-darida ho gae
falsafa wo falsafa hai falsafa taqdir ka
main zamane ko nahin dunga mohabbat ka subut
warna lana kaunsa mushkil hai ju-e-shir ka
raat din 'ahd-e-wafa hai sharmsari ka shikar
toD Dala hae qaidi ne bharam zanjir ka
rakh diya suraj ki peshani pe tabinda charagh
ruKH badal kar rakh diya kis shaKHs ne taswir ka
ai suKHanwar ye suKHan ke din ki buniyaad hai
rang aisa munfarid ho jaise 'dagh'-o-'mir' ka
pahle KHush-guftar lahja phir sitam par ye sitam
chashm-e-ahu se hasin mauzu' hai taqrir ka
us ki aankhon ka nasha kuchh aisa nashsha hai miyan
zaiqa jaise sharab-e-fikr ki tahrir ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.