tum KHub uDate raho KHaka mere dil ka
tum ḳhuub uḌāte raho ḳhāka mire dil kā
paidā nahīñ dushman koī tum sā mire dil kā
phirtī hai nazar meñ kisī gesū kī darāzī
baḌhtā hī chalā jā.egā saudā mire dil kā
ulTī hai na ulTeñge naqāb-e-ruḳh-e-raushan
maanā hai na māneñge vo kahnā mire dil kā
'mā.il' tire ash.ār sunūñ bazm meñ kyūñ-kar
ye raaz kiye dete haiñ ifshā mere dil kā
tum KHub uDate raho KHaka mere dil ka
paida nahin dushman koi tum sa mere dil ka
phirti hai nazar mein kisi gesu ki daraazi
baDhta hi chala jaega sauda mere dil ka
ulTi hai na ulTenge naqab-e-ruKH-e-raushan
mana hai na manenge wo kahna mere dil ka
'mail' tere ashaar sunun bazm mein kyun-kar
ye raaz kiye dete hain ifsha mere dil ka
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 228)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.