tumko apni nazar bahut kuchh hai
tum ko apnī nazar bahut kuchh hai
ham ko apnā jigar bahut kuchh hai
tere ḳhvāb-o-ḳhayāl ke sadqe
apnī shām-o-sahar bahut kuchh hai
baat jab hai kisī kā dil rakh le
yuuñ vo mai-gūñ nazar bahut kuchh hai
ye jabīn-e-niyāz kyā lekin
aap kā sang-e-dar bahut kuchh hai
partav-e-dāġh-e-dil se kyā nisbat
yuuñ ziyā-e-sahar bahut kuchh hai
be-usūlī mirā mizāj nahīñ
gāhe-gāhe magar bahut kuchh hai
apnī ḳhātir to umr bhar 'nāzim'
nigah-e-muḳhtasar bahut kuchh hai
tum ko apni nazar bahut kuchh hai
hum ko apna jigar bahut kuchh hai
tere KHwab-o-KHayal ke sadqe
apni sham-o-sahar bahut kuchh hai
baat jab hai kisi ka dil rakh le
yun wo mai-gun nazar bahut kuchh hai
ye jabin-e-niyaz kya lekin
aap ka sang-e-dar bahut kuchh hai
partaw-e-dagh-e-dil se kya nisbat
yun ziya-e-sahar bahut kuchh hai
be-usuli mera mizaj nahin
gahe-gahe magar bahut kuchh hai
apni KHatir to umr bhar 'nazim'
nigah-e-muKHtasar bahut kuchh hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.