tumko chaha tumko puja
tum ko chāhā tum ko puujā
kyā ye merā pāgal-pan thā
pal meñ tola pal meñ māshā
nādāñ ye duniyā hai duniyā
terā ho kar jiinā chāhā
maiñ bhī kitnā dīvāna thā
terā rutba arsh se ūñchā
tujh ko mujh se nisbat hī kyā
merī to hastī hī kyā thī
lekin tū ne kis ko baḳhshā
terā husn hai aalam aalam
merā ishq hai tanhā tanhā
o muñh pher ke jaane vaale
duniyā kyā sochegī sochā
qatre kī auqāt hī kyā hai
qatra qatra dariyā dariyā
kaun uThā terī mahfil se
kis kī umr kā sāġhar chhalkā
apnā apnā zauq-e-nazar hai
kis kā jalva kaisā pardā
terī izzat mahfil mahfil
maiñ shā.ir āvāra rusvā
maanā ḳhāk-basar huuñ phir bhī
yaad karoge yaad ā.ūñgā
ye jiinā bhī kyā jiinā hai
is jiine se marnā achchhā
duniyā kis ko raas aa.ī hai
kis ko raas aa.egī duniyā
ham ne sudh-budh kho dī 'āsī'
us ne is andāz se dekhā
tum ko chaha tum ko puja
kya ye mera pagal-pan tha
pal mein tola pal mein masha
nadan ye duniya hai duniya
tera ho kar jina chaha
main bhi kitna diwana tha
tera rutba arsh se uncha
tujh ko mujh se nisbat hi kya
meri to hasti hi kya thi
lekin tu ne kis ko baKHsha
tera husn hai aalam aalam
mera ishq hai tanha tanha
o munh pher ke jaane wale
duniya kya sochegi socha
qatre ki auqat hi kya hai
qatra qatra dariya dariya
kaun uTha teri mahfil se
kis ki umr ka saghar chhalka
apna apna zauq-e-nazar hai
kis ka jalwa kaisa parda
teri izzat mahfil mahfil
main shair aawara ruswa
mana KHak-basar hun phir bhi
yaad karoge yaad aaunga
ye jina bhi kya jina hai
is jine se marna achchha
duniya kis ko ras aai hai
kis ko ras aaegi duniya
hum ne sudh-budh kho di 'asi'
us ne is andaz se dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.