tumko chhoDa to aisa laga jaise KHud se alag ho gae
tum ko chhoḌā to aisā lagā jaise ḳhud se alag ho ga.e
ek manzil ko jaate hue apne raste alag ho ga.e
bas isī baat se ġham-zada bas isī baat kā dukh hameñ
dūsroñ se yuuñ milte hue mere apne alag ho ga.e
kuchh siyāsat se toḌe ga.e kuchh ko sāzish ne bahkā diyā
ek maañ ke haiñ jaa.e sabhī aaj kitne alag ho ga.e
raat kī samt dekho nahīñ niiñd us din se aa.ī nahīñ
jab se vālid ke hī sāmne us ke beTe alag ho ga.e
bas yahī haal hogā terā bas yahī haal hogā merā
jaise ek peḌ kī shāḳh se us ke patte alag ho ga.e
tum ko chhoDa to aisa laga jaise KHud se alag ho gae
ek manzil ko jate hue apne raste alag ho gae
bas isi baat se gham-zada bas isi baat ka dukh hamein
dusron se yun milte hue mere apne alag ho gae
kuchh siyasat se toDe gae kuchh ko sazish ne bahka diya
ek man ke hain jae sabhi aaj kitne alag ho gae
raat ki samt dekho nahin nind us din se aai nahin
jab se walid ke hi samne us ke beTe alag ho gae
bas yahi haal hoga tera bas yahi haal hoga mera
jaise ek peD ki shaKH se us ke patte alag ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.