tumko dekha hai abhi tak ye guman hota hai
tum ko dekhā hai abhī tak ye gumāñ hotā hai
naqsh jo dil meñ hai āñkhoñ se nihāñ hotā hai
shauq kā ālam-e-e.ajāz ayaañ hotā hai
khiñch ke aatā hai yahāñ husn jahāñ hotā hai
qissa-e-dard ḳhamoshī se ayaañ hotā hai
taur-e-iz.hār nazar tarz-e-bayāñ hotā hai
raat ḳhāmosh hai aise meñ sitāro sun lo
dil-e-muztar mirā mā.il-ba-fuġhāñ hotā hai
merī nākām mohabbat ne baḌā kaam kiyā
mudda.ā ālam-e-hasrat meñ javāñ hotā hai
ḳhirman-e-zīst meñ sho.ale na bhaḌak uThe hoñ
dāman-e-dil ke qarīb aaj dhuāñ hotā hai
zikr ḳhud chheḌ ke royā kiyā pahroñ 'aḳhtar'
naam aate hī tirā ashk ravāñ hotā hai
tum ko dekha hai abhi tak ye guman hota hai
naqsh jo dil mein hai aankhon se nihan hota hai
shauq ka aalam-e-eajaz ayan hota hai
khinch ke aata hai yahan husn jahan hota hai
qissa-e-dard KHamoshi se ayan hota hai
taur-e-izhaar nazar tarz-e-bayan hota hai
raat KHamosh hai aise mein sitaro sun lo
dil-e-muztar mera mail-ba-fughan hota hai
meri nakaam mohabbat ne baDa kaam kiya
muddaa aalam-e-hasrat mein jawan hota hai
KHirman-e-zist mein shoale na bhaDak uThe hon
daman-e-dil ke qarib aaj dhuan hota hai
zikr KHud chheD ke roya kiya pahron 'aKHtar'
nam aate hi tera ashk rawan hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.