tumko jo mujhse shikayat hai ki shikwa na karo
tum ko jo mujh se shikāyat hai ki shikva na karo
banda-parvar hameñ har roz satāyā na karo
mehñdī mal kar to na aane kā bahāna na karo
aaj hai vasl kī shab ḳhūn-e-tamannā na karo
tum nikālo mire armāñ mirā matlab ye nahīñ
mujh ko kahnā to ye hai ġhair kā kahnā na karo
tauba tauba mai-e-ulfat ko batāte ho harām
be-piye shaiḳh jī is tarah se bahkā na karo
maiñ kahūñgā tumheñ zālim jo satāoge mujhe
tum jo ye sun nahīñ sakte ho to aisā na karo
haañ mire husn kī tā'rīf pe chiḌhte ho agar
ā.īna dekh ke phir tum mujhe dekhā na karo
apne 'āshiq se munāsib nahīñ is tarah hijāb
aao āñkhoñ meñ mirī shauq se pardā na karo
de ga.e ālam-e-rūyā meñ ye taskīn mujhe
zabt ulfat meñ hai lāzim tumheñ royā na karo
kyā ġhalat hai ye raqīboñ se nahīñ rabt tumheñ
ye bajā tum ne kahā shikva-e-bejā na karo
maiñ koī ġhair kī hasrat nahīñ armān nahīñ
apnī mahfil se mujhe yaar nikālā na karo
un kī paimāñ-shikanī un ko ye sikhlātī hai
karke 'ushshāq se vā'da kabhī iifā na karo
un kā ġhussa nahīñ kuchh qahr-e-ḳhudā hazrat-e-dil
but bigaḌte haiñ to hargiz koī parvā na karo
ġhair se qat'-e-ta'alluq meñ bhalā.ī hai zarūr
haañ agar koī burā.ī ho to achchhā na karo
ḳhāksārī kā sikhātā hai tarīqa mujhe zo'f
kahtā hai baiTh ke is bazm se uTThā na karo
jaan se apnī guzar jaao mohabbat meñ 'fahīm'
naam agar chāhte ho himmat-e-mardāna karo
tum ko jo mujh se shikayat hai ki shikwa na karo
banda-parwar hamein har roz sataya na karo
mehndi mal kar to na aane ka bahana na karo
aaj hai wasl ki shab KHun-e-tamanna na karo
tum nikalo mere arman mera matlab ye nahin
mujh ko kahna to ye hai ghair ka kahna na karo
tauba tauba mai-e-ulfat ko batate ho haram
be-piye shaiKH ji is tarah se bahka na karo
main kahunga tumhein zalim jo sataoge mujhe
tum jo ye sun nahin sakte ho to aisa na karo
han mere husn ki ta'rif pe chiDhte ho agar
aaina dekh ke phir tum mujhe dekha na karo
apne 'ashiq se munasib nahin is tarah hijab
aao aankhon mein meri shauq se parda na karo
de gae aalam-e-ruya mein ye taskin mujhe
zabt ulfat mein hai lazim tumhein roya na karo
kya ghalat hai ye raqibon se nahin rabt tumhein
ye baja tum ne kaha shikwa-e-beja na karo
main koi ghair ki hasrat nahin arman nahin
apni mahfil se mujhe yar nikala na karo
un ki paiman-shikani un ko ye sikhlati hai
karke 'ushshaq se wa'da kabhi ifa na karo
un ka ghussa nahin kuchh qahr-e-KHuda hazrat-e-dil
but bigaDte hain to hargiz koi parwa na karo
ghair se qat'-e-ta'alluq mein bhalai hai zarur
han agar koi burai ho to achchha na karo
KHaksari ka sikhata hai tariqa mujhe zo'f
kahta hai baiTh ke is bazm se uTTha na karo
jaan se apni guzar jao mohabbat mein 'fahim'
nam agar chahte ho himmat-e-mardana karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.