Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tumko kahte hain ki aashiq ki fughan sunte ho

Meer Mohammadi Bedar

tumko kahte hain ki aashiq ki fughan sunte ho

Meer Mohammadi Bedar

MORE BYMeer Mohammadi Bedar

    tum ko kahte haiñ ki āshiq fuġhāñ sunte ho

    ye to kahne bāteñ haiñ kahāñ sunte ho

    chaah zikr tumhārī maiñ kiyā kis aage

    kaun kahtā hai ''kaho'' kis zabāñ sunte ho

    kashish-e-ishq laa.ī hai tumheñ yaañ varna

    aap se thā na mujhe ye to gumāñ sunte ho

    ek shab merā bhī afsāna-e-jāñ-soz suno

    qisse auroñ ke to ai jān-e-jahāñ sunte ho

    vo gul-andām jo aayā to ḳhajālat se tamām

    zard ho jāoge ai lāla-ruḳhāñ sunte ho

    ek ke laakh sunā.ūñgā ḳhabar-dār raho

    is taraf aa.ī agar tab-e-ravāñ sunte ho

    aaj kyā hai kaho kyuuñ aise ḳhafā baiThe ho

    apnī kahte ho na merī miyāñ sunte ho

    kaun hai kis se karūñ dard-e-dil apnā iz.hār

    chāhtā huuñ ki suno tum to kahāñ sunte ho

    ye vahī shoḳh hai aatā hai jo 'bedār' ke saath

    jis ko ġhārat-gar-e-dil āfat-e-jāñ sunte ho

    tum ko kahte hain ki aashiq ki fughan sunte ho

    ye to kahne hi ki baaten hain kahan sunte ho

    chah ka zikr tumhaari main kiya kis aage

    kaun kahta hai kaho kis ki zaban sunte ho

    kashish-e-ishq hi lai hai tumhein yan warna

    aap se tha na mujhe ye to guman sunte ho

    ek shab mera bhi afsana-e-jaan-soz suno

    qisse auron ke to ai jaan-e-jahan sunte ho

    wo gul-andam jo aaya to KHajalat se tamam

    zard ho jaoge ai lala-ruKHan sunte ho

    ek ke lakh sunaunga KHabar-dar raho

    is taraf aai agar tab-e-rawan sunte ho

    aaj kya hai kaho kyun aise KHafa baiThe ho

    apni kahte ho na meri hi miyan sunte ho

    kaun hai kis se karun dard-e-dil apna izhaar

    chahta hun ki suno tum to kahan sunte ho

    ye wahi shoKH hai aata hai jo 'bedar' ke sath

    jis ko ghaarat-gar-e-dil aafat-e-jaan sunte ho

    Source :
    • Deewan-e-Bedar
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now