tumko KHud apni zat ka matlab nahin pata
tum ko ḳhud apnī zaat kā matlab nahīñ pata
goyā ki kā.enāt kā matlab nahīñ pata
tum ne to dil-lagī meñ faqat choT khaa.ī hai
ulfat ke hādsāt kā matlab nahīñ pata
kitne diye bujhā ga.ī raushan gharoñ ki ye
tum ko siyāh raat kā matlab nahīñ pata
tum ko KHud apni zat ka matlab nahin pata
goya ki kaenat ka matlab nahin pata
tum ne to dil-lagi mein faqat choT khai hai
ulfat ke hadsat ka matlab nahin pata
kitne diye bujha gai raushan gharon ki ye
tum ko siyah raat ka matlab nahin pata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.