tumko nahin hai yaad abhi kal ki baat hai
tum ko nahīñ hai yaad abhī kal kī baat hai
bāham thā ittihād abhī kal kī baat hai
manzil thī ek jis pe baham gāmzan rahe
bilkul na thā tazād abhī kal kī baat hai
ik raushnī thī dil meñ bahut pāk-o-sāf the
aisā na thā inaad abhī kal kī baat hai
buniyād ḳhud hī aap ne rakkhī nifāq kī
shīr-o-shakar the shaad abhī kal kī baat hai
sehn-e-chaman meñ apne 'nazar' thī ajab bahār
thā daur-e-abr-o-bād abhī kal kī baat hai
tum ko nahin hai yaad abhi kal ki baat hai
baham tha ittihad abhi kal ki baat hai
manzil thi ek jis pe baham gamzan rahe
bilkul na tha tazad abhi kal ki baat hai
ek raushni thi dil mein bahut pak-o-saf the
aisa na tha inad abhi kal ki baat hai
buniyaad KHud hi aap ne rakkhi nifaq ki
shir-o-shakar the shad abhi kal ki baat hai
sehn-e-chaman mein apne 'nazar' thi ajab bahaar
tha daur-e-abr-o-baad abhi kal ki baat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.