tumko to kabhi dil se bulana nahin aata
tum ko to kabhī dil se bulānā nahīñ aatā
ham aa ke jo baiThe haiñ to jaanā nahīñ aatā
kah duuñ to maze par ye fasāna nahīñ aatā
Thahrūñ to palaT kar ye zamāna nahīñ aatā
kaahe ko ye phir hosh meñ laane ke Thahoke
jaao tumheñ dīvāna banānā nahīñ aatā
aatī hai bahār aur luTā detī hai daulat
ik phuul kī muTThī meñ ḳhazāna nahīñ aatā
tum ko to ye aatā hai ki yaad aa.e chale jaao
ham tum ko bhulā.eñ to bhulānā nahīñ aatā
maqdūr thā bas ek hī sajda tire dar par
sar maiñ ne jhukāyā hai uThānā nahīñ aatā
aatī hai hameñ sirf mohabbat kī ġhulāmī
ehsān mohabbat kā jatānā nahīñ aatā
phir laakh mohabbat ko 'razā' koī sañvāre
āġhāz-e-mohabbat kā zamāna nahīñ aatā
tum ko to kabhi dil se bulana nahin aata
hum aa ke jo baiThe hain to jaana nahin aata
kah dun to maze par ye fasana nahin aata
Thahrun to palaT kar ye zamana nahin aata
kahe ko ye phir hosh mein lane ke Thahoke
jao tumhein diwana banana nahin aata
aati hai bahaar aur luTa deti hai daulat
ek phul ki muTThi mein KHazana nahin aata
tum ko to ye aata hai ki yaad aae chale jao
hum tum ko bhulaen to bhulana nahin aata
maqdur tha bas ek hi sajda tere dar par
sar main ne jhukaya hai uThana nahin aata
aati hai hamein sirf mohabbat ki ghulami
ehsan mohabbat ka jatana nahin aata
phir lakh mohabbat ko 'raza' koi sanware
aaghaz-e-mohabbat ka zamana nahin aata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.