tumko ye lag raha hai zamin KHush-gawar hai
tum ko ye lag rahā hai zamīñ ḳhush-gavār hai
lekin yahāñ to ab bhī fazā sogvār hai
phir be-qusūr ko kisī munsif ne dī sazā
phir rūh-e-adl ham se bahut sharmsār hai
tū apnī ḳhairiyat kī ḳhabar rakh mire harīf
merī na soch merā to parvardigār hai
maanā ki tum ko chāhne vaale haiñ be-shumār
lekin hamāre ishq kā apnā shi.ār hai
us ko bulandiyoñ pe nihāyat ġhurūr thā
'sāhil' zamīñ pe aa ke bahut sharmsār hai
tum ko ye lag raha hai zamin KHush-gawar hai
lekin yahan to ab bhi faza sogwar hai
phir be-qusur ko kisi munsif ne di saza
phir ruh-e-adl hum se bahut sharmsar hai
tu apni KHairiyat ki KHabar rakh mere harif
meri na soch mera to parwardigar hai
mana ki tum ko chahne wale hain be-shumar
lekin hamare ishq ka apna shiar hai
us ko bulandiyon pe nihayat ghurur tha
'sahil' zamin pe aa ke bahut sharmsar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.