tum lakh chahe meri aafat mein jaan rakhna
tum laakh chāhe merī aafat meñ jaan rakhnā
par apne vāste bhī kuchh imtihān rakhnā
vo shaḳhs kaam kā hai do aib bhī haiñ us meñ
ik sar uThānā duujā muñh meñ zabān rakhnā
paglī sī ek laḌkī se shahr ye ḳhafā hai
vo chāhtī hai palkoñ pe āsmān rakhnā
keval faqīroñ ko hai ye kāmyābī hāsil
mastī se jiinā aur ḳhush saarā jahān rakhnā
tum lakh chahe meri aafat mein jaan rakhna
par apne waste bhi kuchh imtihan rakhna
wo shaKHs kaam ka hai do aib bhi hain us mein
ek sar uThana duja munh mein zaban rakhna
pagli si ek laDki se shahr ye KHafa hai
wo chahti hai palkon pe aasman rakhna
kewal faqiron ko hai ye kaamyabi hasil
masti se jina aur KHush sara jahan rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.