tum lakh koi hashr uThao pas-e-diwar
tum laakh koī hashr uThāo pas-e-dīvār
ye shahr hai bahroñ kā sunāo pas-e-dīvār
kyā farq tumheñ is se koī jaage na jaage
naubat to bajānī hai bajāo pas-e-dīvār
ik habs kā māhaul jo darkār hai tum ko
ik aur bhī dīvār banāo pas-e-dīvār
har chiiz mayassar hai yahāñ maal ke badle
insāf kā bhī lagtā hai bhaao pas-e-dīvār
le jā.egā ye saarī ġhalāzat ko bahā kar
ho jaa.e jo dariyā kā bahāv pas-e-dīvār
allāh 'nadīm' ham ko havādis se bachā.e
pahle bhī lagā thā hameñ ghaav pas-e-dīvār
tum lakh koi hashr uThao pas-e-diwar
ye shahr hai bahron ka sunao pas-e-diwar
kya farq tumhein is se koi jage na jage
naubat to bajaani hai bajao pas-e-diwar
ek habs ka mahaul jo darkar hai tum ko
ek aur bhi diwar banao pas-e-diwar
har chiz mayassar hai yahan mal ke badle
insaf ka bhi lagta hai bhao pas-e-diwar
le jaega ye sari ghalazat ko baha kar
ho jae jo dariya ka bahaw pas-e-diwar
allah 'nadim' hum ko hawadis se bachae
pahle bhi laga tha hamein ghaw pas-e-diwar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.