tum mere sath bhi juda bhi ho
tum mere saath bhī judā bhī ho
tum mirā dard bhī davā bhī ho
tum safīna bhī nāḳhudā bhī ho
tum talātum bhī aasrā bhī ho
DhūñDhtā huuñ kahāñ kahāñ tum ko
rāhzan tum ho rahnumā bhī ho
tum hī ho merī garmi-e-āġhosh
mere pahlū kā tum ḳhalā bhī ho
dil ke rukne kī ho tum hī āvāz
dil kī dhaḌkan kī tum sadā bhī ho
pī ke sarshār bhī huuñ pyāsā bhī
tishnagī bhī ho tum nasha bhī ho
tum mere sath bhi juda bhi ho
tum mera dard bhi dawa bhi ho
tum safina bhi naKHuda bhi ho
tum talatum bhi aasra bhi ho
DhunDhta hun kahan kahan tum ko
rahzan tum ho rahnuma bhi ho
tum hi ho meri garmi-e-aghosh
mere pahlu ka tum KHala bhi ho
dil ke rukne ki ho tum hi aawaz
dil ki dhaDkan ki tum sada bhi ho
pi ke sarshaar bhi hun pyasa bhi
tishnagi bhi ho tum nasha bhi ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.